“The pao kaid us bediyon me
The zakham roz naye humare liye
Thi aankhe nam us dard me
Khub chala wo dard ka kaarvan
Laga yun ke bas hume karna hai vyateet aise hi sama
Subah ki wo aarzu sham tak toot jaati thi
Roz karte the hausle buland par haqiqat se milkar we rooth jaati thi
Aansu ko karna har pal saaf par unka fir se beh jana
Na dard ka thehrna hota na aansuo ka rukna
Lafz aate the fir jaane kahin wo bhi chhup gaye
Jinko maante the apna wohi kyu rooth gaye..
Humse hi hui hogi koi khata aisa maan lia humne,
Hum maan gaye the par dil tha ziddi
Aaj subah hui, aaj gire hue patto ki jagah dikhe hume naye patte
Hum maan gaye the par dil tha ziddi
Aaj subah hui, aaj gire hue patto ki jagah dikhe hume naye patte
Sookhi zameen par aayi jaise aayi koi lehar
Wo hausle toot gaye the par aaj laga unme tha koi asar
Hum jo kho gaye the jaise mil gya koi nagar
Khub gulami ki thi peeda ki par aaj fer gayi humse nazar
Apne roothe nai the jaise…thi wo apno ki parakh
Bahot hogya tha logo ka saath..aaj hu apno ke saath
Mila hu unse to lagta hai ke choot gaye the kahin duniyadari me
Par asli moti to yehi the jo piche chodd aaya tha.
Waqt ne dia aisa mauka to samet lu mai sab
Aaj gaa lu, jhoom lu, tehal lu, hua main shukrguzaar
Subah ki aarzu shaam se jab mili toh aaj hu aabhari
Chodd aaya hu dard ka wo kaarvan, cheen laaya hu AAZADI.”
Comments